Notification texts go here Contact Us Buy Now!

How to Root any Android phones

Android Phone ko root kaise kare, Mobile ko root कैसे करे को ले कर हर रोज बहुत सवाल आते है. तो आज हम इसी बिषय पर बात करेंगे. Android phone का इस्तेमाल आज हर कोई व्यक्ति कर रहा. Root कैसे करे – एंड्रॉइड फ़ोन रुट कैसे करते है , Android Smartphone Ko Root Kaise Kare, Root Kaise Karte Hai, How to root android in hindi,Root ki Jankari hindi me. Root kaise kare. Android Phone ke Full Future ka use karna chate hai to Phone ko Root kare. Simple Software ki madad se ek Click.Janiye kaise Root kare Mobile ko safily.
Hello dosto mai hu aap ka dost manish jadhav aur aaj mai leke aaya hu apne phone ko root kaise kare waise pahle ye jan lete hai aakhir ye root hai kya.
Jab ham company se phone lete hai toh woh kuch limits laga ke rakhti hai matlab ek border ki aap uske aage nahi ja sakte hai par aap apne mobile ko root karte ho toh aapke mobile mein super power aa Jati Hai. Jis ki madad se aap apne mobile mein koi bhi badlav kar sakte hain.




Iske kuch fayde Aur nuksaan Bhi Hote Hain.
Toh main Pehle Aap Ko Uske fayde aur nuksaan Dono bataunga Usi ke baad Hai Phone ko root Kaise Kare Ye bataunga.


1 : Toh Pehle Hum Jante Hai Ki root karne se aapke mobile mein kya fayda hoga Pehla fayda ye hai ki jab bhi mobile service aapko provide Karti Hai preloaded apps aap usse uninstall nahi kar sakte but aap apne phone Ko Agar Root kar lete hain toh aap usse uninstall kar sakte ho.

2 : bahut Sare application Aise hote hain apne mobile mein system memory card se SD card me move karna chahte hain to move nahi hote hain but aap ka mobile rooted hai to aap usse aasani se move kar sakte hain.

3  Android system file ko aap aasani se edit yeah delete kar sakte hain

4 : kya aap ki battery jaldi khatam ho jati hai agar aap apne phone ko root karte hai to aap background Mein Chalte Huye apps ko stop kar sakte hai uski waja se  battery life kam use hongi aur aap ki battery bahut jyada der tak tikengi

5 : Play Store par bahut se rooted apps hai jinko sirf rooted device he use kar sakta hai agar aap apne phone ko root kar lete hai to aap phone apps ko aasani se access kar sakte ho aur best hacking tool bhi try kar sakte hai .



Chalo ab ham ne iske fayde toh jan liye ab iske nuksan ke bare mai bhi jan lete hai jaha acha hota waha bura bhi hota hai dosto to chalo nuksan jante hai


1 :  root karne se aap ke phone ki warranty chali jati hai ha waise agar aap apne phone ko unroot kar lete hai toh aap ki phone ki warranty wapas aa jati hai

2 :  root karne se aap ka mobile kharab bhi ho sakta hai . Root karte karte samay aap ka mobile band bhi ho sakta hai .

3 :  root karte samay aap ka phone erase bhi ho sakta hai aur shayad wo data wapas na aaye.

Ye hai root karne ye sub nuksan hote hai agar aap root karna hai toh ricks toh uthana he padega waise 2 point aur 3 point hone thode kam chances hai .


Chalo toh ab jante hai mobile ko root kaise kare ek acha sa tarika batahunga wo bhi bina pc ke

Aap ko pahele ek app downoad karna padega iska nam hai Kingroot aap kingroot ke uper click karke bhi download kar sakte hai.
Usko download karne ke baad use open kariye phir aap waha dikhenga ki 1 click to root .
Par ek bat dhayan mai rakhna root karne se pahele mobile ki charging 60% ya 70% rakheye kyun aap ka mobile bich mai band na ho jaye root karte samay
Phir app ko click to root ke uper click karna hai aur  process hone dena hai aur jaise he aap ki process complete ho jayengi  Congress aap ka mobile rooted

Waise dosto root karte samay mere mobile mai to kohi problem nahi aai thi but mere ek dost ka mobile root karte samay band pad gaya tha waise 100% mai se 5% raheta hai kisi ke na kise ke sath yaisa honga

To dosto kaisa laga hamara ye post hame comment karkke jarur bataiye  aur hamare post ko share kijiye hame acha lagega.
Chalo toh mai chalta hu phir milta hu aur ek new post ke sath.

Post a Comment

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
AdBlock Detected!
We have detected that you are using adblocking plugin in your browser.
The revenue we earn by the advertisements is used to manage this website, we request you to whitelist our website in your adblocking plugin.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.